Saturday, June 13, 2020

जीरा बिस्किट | आटे के जीरा बिस्किट्स | jeera biscuits recipes | Eggless Zeera Cookies | Biscuit


जीरा बिस्किट | आटे के जीरा बिस्किट्स | Jeera Biscuits recipes | Eggless Zeera Cookies | Biscuit

Baccho se leke bado tak kise pasand nahi hai sweet and salty crispy jeera biscuit. Jeera biscuit/cookies banane ka aasan tarika woh bhi healthy aata jeera biscuit.

Ingredients:-
1 cup wheat flour (gehu ka aata)
1/4 th cup clarified butter (ghee)
1/4 th cup powdered sugar (pisi hui cheeni)
1 tsp baking powder
1 tsp salt
2 tsp roasted cumin seed (bhuna hua jeera)
2 tsp milk



Method :-
Ek bowl me 1/4th cup ghee daale fir usme powdered sugar daalkar beater ki madad se ache se beat kare.
Beater na hone par hand whisker is istmaal kare.
Ghee aur powder sugar ache se mix ho jaye aur creamy mixture ban jaye tab usme aata,baking powder,namak,bhuna hua jeera dalkar crumbly dough banaye.
Jarurat padne par 2 tsp milk milaye aur dough taiyaar kare.
Ab dough ko cling wrap ki madad se tightly roll kare aur fridge me aadhe ghante ke liy set hone ke liy chod de.
Aadhe ghante baad roll ko slice me cut kare aur preheated oven me 180'c par 16 se 18 minute tak bake kare.
Oven na ho to cooker ya kadhai me salt dalkar plate me cookies rakhkar bake kar sakte se 15 se 20 minute ke liy low to medium flame par.
Cookies bankar tayar hai.
Happy cooking :)

No comments:

Post a Comment

If you have any queries please let me know.